Showing posts with label Sad Poetry. Show all posts
Showing posts with label Sad Poetry. Show all posts

Sunday, April 4, 2010

Dil Say Dil Ka Rabta Acha Laga






Dil say dil ka rabta acha laga
Aaj usko sochna acha laga Jatay
jatay aakhri lamhat may uska
murkar dekhna acha laga
Har taraf thi bewafa logo ki bheer
Ek wohi bewafa acha laga
Kyon mohabbat ho gai kia batain
humko usmay kia acha laga
Continue reading →

Hum Door Ja Rahe Hain







Hum door ja rahe hain
Khamoshiyon ke nishan
Chehre ko chupa rahe hain
Is pal mein tanhayion ki
Wajah bata rahe hain
Yeh soone nain pyaar ki
boonde barsa rahe hain
Shayad Hum Dor Jaa rahe hain

---------------------------------------------------------------

Phoolon se jaise yeh bhavrey
Jaise mehak chura rahe hain
Chaand ko jaise yeh badal
Chupa rahe hain
Andhere hazaron jaise
Roshni ko mita rahe hain
Shayad Hum Dor Jaa rahe hain
----------------------------------------------------------------
Khwaabo ki dunya kyun
Humko sata rahi hai
Yaadon ki dastak kyun
Humko bula rahai hai
Tanhayian kyun itani
Kareeb aa gayi hain
Shayad Hum Dor Jaa rahe hain
---------------------------------------------------------------
Thaam lo humein
Waapis bula lo
Rok lo humein
Na yun jaane do
Rishton ke dhaage mein
Kaske baandh lo
Dooriyan yeh badhne se pehle
Yeh faasle mita do
Bas keh do ik baar ki “NAHIN”

HUM DOOR JAA RAHE HAIN...........
Continue reading →

Chand Hoton Pe Wafa K







chand hoton pe wafa k tazkre mil jay gay
pathroon k shehr main kuch ayney mil jay gay
teri kismat main jo khushian hain tujhe mil jay gii
mere hisey k jo ansoo hain mughay mil jay gay
jhank ker dakho gi jab tum apne mazi main kabhi
tum ko yadoon ka hazaroon silsiley mil jay gay
teri chaht ka suhana rang to chin jay ga
haan mager meri nazar ko rattjegy mil jay gay
ajnabii ban ker chaly gay ik doojay se zia
itfaqan ger humare rasitey mil jay gay
Continue reading →

Meri Tehreer K Aansoo






Suna hoga bohat tum ne
Kahin aankhon ki rim jhim ka
Kahin palkon ki shabnam ka
Parha hoga bohat tumne
Kahin lehjey ki baarish ka
Kahin saagar k aansoo ka
Magar tumne kabhi humdam
Kahin dekhey? kahin parkhey?
Kisi tehreer k aansoo???
Mujhey teri judaaii ne
Yehi mai'raaj bakhshi hai
Keh main jo lafz likhti hun
Voh saarey lafz rotey hain
Keh main jo harf bunti hun
Voh saarey bain kartey hain
Merey sang is judaai main
Merey alfaaz martey hain
Sabhi ta'reef kartey hain
Meri tehreer ki lekin
Kabhi koi nahin sunta
Merey alfaaz ki siski
Falak bhi jo hilaa daaley
Merey lafzon main hain shaamil
Usii taaseer k aansoo
Kabhi dekho merey humdam
Meri tehreer k aansoo...!!!
Continue reading →

Tera Naqsh-e-Qadam!





Tera Neqsh-E-Qadam Manzil Hai Meri
Tumhari Yad Hi Mahfil Hai Meri
Mujhe Mat Bhool Teri Har Khushi Mein
Zara Si Tu Dua Shamil hai Meri
Continue reading →

Dukh Anmol Hoty Hain





dukh anmol hoty hain
kudrat ki wadieat hoty hain
kabi kuch dy k jaty hain
kabi sab cheen laty hain
kabi bychain karty hain
kabi jeena sikhaty hian
kabi banty hain jab aansu
umar bhar lahu rulaty hain
kabi lab ki hansi ban kar
naie dunia sajaty hain
kabi meethi kasak ban kar
anjani khalash ban kar
makeen-e-dil ye banty hain
kisi surat nhi mitty
jo in sy door bhago to
kahin jany nhi daity
na zinda rehny daity hain
na ye azad karty hain
nhi jis ki dwa koi
ye aisa dard hoty hain
magar ye b haqeqat hy
har ik ko to nhi milty
bary nayab hoty hain
dukh anmol hoty hain
Continue reading →

Zindagi Ki Ulzano Mein





Zindagi ki ulzano mein ulajhta raha
Bas uske pyar ke liye hurdum tarasta raha
Jaanta tha woh shyad hi kabhi mujhe haasil hogi
Phir bhi jhute dilase se dil bahlata raha
Socha tha kabhi to waqt mere saath hoga
Par who bhi ret ki tarah mere haath se fisalta raha
Shayad,
Khuda ko ye bhi na manzor tha aankho mein kaid karoon uske aks ko
Isliye to har lamha paani ki tarah meri aankon se behta raha
Continue reading →

Mujhey Tanha Tanha Rahnay Do






Mujhey tanha tanha rahnay do,
Mujey apnay ap main rahnay do,
En logon sy ab dar lagta hai,
Na kisi bat main mera man lagta hai,
Mujhey yad main us ki kahnay do,
Mujhey tanha tanha rahnay do,
Main ro ro kr jab gir jaoon,Mujhey chup na krao sahnay do,
Mujhey khud sy baghi rahnay do,Mujhey tanha tanha rahnay do,
Ay Raat bta mera chand mila?Koi tujh pay bhi ilzaam laga?Mujhey raat ko raat hi kahnay do,
Mujhey tanha tanha rahnay do
Continue reading →

BENAM SA DARD





Benaam Sa Ye Dard...Thehar kyon Nahi Jata
Jo Beet Gaya Hai...Woh Guzar Kyon Nahi Jata.

Sab Kuch To Hai...Kya Dhundti Rehti Hai Nigaahein
Kya Baat Hai...Mai Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata..

Woh Ek Hi Chehra To, Nahi Sare Jahan Mein
Jo Door Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata...

Main Apni Hi Uljhi Hoi...Raho Ka Tamasha
Jate Hain Jidhar Sab...Main Udhar Kyon Nahi Jata...

Woh Naam Jo Na Jane Kab Se, Na Chehra Na Badan Hai
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata...!
Continue reading →

Zindagi Sy Pyara Hai






Koi hai jo hamin zindgisy pyara hai
Beghair us k viran ye jahan sara hai

Wo nahijantak uski zaat kia hai
Wohi ti hai jo mohabbat ka ik sitara hai

Nahi milta to dil ki halat ajeeb hota hai
Kih ismein mera nahi Dilka qasoor sara hai

Wo apni sab baton ko khully dilsy bayan karta hai
Yehi to ada hai jisny hamin mara hai

Wo kia tha?kia hai?kia hoga?kia khabar?
Yehi pata hai kwo jaisa b hay hamara hai
Continue reading →

Sharaab-e-gham





Pilaya hai tu ne sharaab-e-gham,
Ke phir na hosh ka dawa de sakke.

Pilaya hai tu ne sharaab-e-gham,
Ye paimana to pyaar ka pyasa hai.
Continue reading →

Kawaish





bohot kuch pa leney ki kawaish
phir kuch bi na pa sakney ki tarap
kitna tour phor k rakh daiti hai
har lamhey ki aik hi kawaish
kabi mil janey ki kushi
kabi na mil skney ka dar
Continue reading →

Kinara





Kisi ki kishtiyon ko kinara nahin milta,
Kisi ko dhoodne se sahara nahin milta,
logo ki khushiyan bhi apni hoti hain
Hamaien to gham bhi hamara nahin milta.
Continue reading →

Tanhayee






Tanhayee main dil ab khonay laga
apnayit ka ahsaas kam honay laga
milay to ham hazaron say
lekin teri bairukhi say dil ronay laga
Continue reading →


 

Popular Posts

Copyright 2010 Craze Club. All rights reserved.
A Blog By Qemren l Online Movies, Crazy Videos and Pictures,Pakistani Stage Dramas, Knowledge, World News,facebook wallpapers, Men Women Urban Fashion,Desi Fashion, Celebrities, Online Games, Wallpapers, Articles, Love, Technology, Sports, Interesting, Art,Information, History etc..

Craze Club